Aaj subah eik dost ne Kaha...
"Ramzan ki woh Ronaq dikhai nahin deti yaar"
-- Jawab mein, mere moun se sirf itna nikla ke...
"Jiss mulk mein be gunahon ka be-daraigh khoon bahaya jaa raha ho,
jahan martay huay logon ko rozana ke hisaab se barhti hui mehngai, be rozgaari aur jaan ke khof se mazeed maara jaa raha ho,
jahan insani khoon paani se bhi ziyada arzaan ho jaaye,
jahan sailab se ghiray majboor aur lutay huay ghareebon, ke jin ke nanhay nanhay bachay pani ki eik boond ko taras rahay hon unhain eik eik Roti 25 - 25 rupay ki farokht ki jaa rahi ho,
jahan Musalman Allah ke mehman ban'nay ki saza mein jhoot aur faraib ke saharay 5 rupay ki cheeze 30 rupay mein baich rahay hon,
Jahan hukumraan apni ayyashi mein apnay faraiz bhool kar logon ki laashon par kharay hon...
Jahan jhoot, makkari, faraib, ghair insani aur ghair akhlaaqi tarz-e-amal aam ho,
Naam nehaad Islam ke thaikay daar Islam ke naam par tukron mein bat kar eik doosray ka khoon bahana jaayez qarar de raha hon,
Deen sirf zaati naam o namood aur mafaadaat ke husool ka zarya reh gaya ho,
Nanhay nanhay bachon ke saath Insaniat se giri hui zayadtian ki jaa rahi hon,
Aurat ki izzat eik mamooli khilonay se ziyada ahmiat ki haamil na reh gayee ho,
Insaniat Sharminda ho jiss mulk ke insaanon ko insan kehtay huay…
WAHAN RAMZAN KI RONAQ AUR REHMAT TAU KYA...
USS KA SAAYA AUR AHSAAS TAKK NAHI PHOHONCH SAKTA"...
No comments:
Post a Comment